Poem: Berang zindagi; Written by: Pankaj Mittal
Nov 4, 2006 ; Time: 1 PM
Dedicated to all of my friends who fell in love ...
kuch dino se jindagi berang si lagne lagi hai
saari ichchayein dil hi mein marne lagi hai
yeh doori teri yaad ko aur gahra kar deti hai,
aankhon mein hi nahi, dil mein bhi jalan si hone lagi hai
iss tarah main na ji sakunga,
ruh meri yeh ab mujhse kahne lagi hai
raat ke andhere mein jab nikalta hoon,
teri parchaiya mera peecha karne lagi hai
kayi dost saathi hai mere phir bhi,
ek dost ki kami mahsoos hone lagi hai
tumhara gam ek din mujhe le doobega,
iski jhalak mujhe abhi se dikhne lagi hai
kya karoon dil ko koi aur nahi bhata,
tabhi tu majboori mein badalne lagi hai
likh to sakta hoon main aur bhi bahut kuch,
par aankh meri ab bojhal si hone lagi hai
sach kahoon to yeh mere dil ke alfas hai,
par janta hoon yeh kavita si dikhne lagi hai
kuch dino se jindagi berang si lagne lagi hai
saari ichchayein dil hi mein marne lagi hai ||
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
sahi blog hai, dost poem ke alawa bhi kuchh likha karo, apne ko poem samajh mein nahi aati
abe yaar abhi to start kiya hai...dekho kya kya likh sakta hoon, iss baar pahle blog ki tarah nahi banaoonga...it shud be alive throughout..so keep on posting something relevant...
Post a Comment